But before that, a word about the poet. He is none other than Shivanu Shukla, the Co-Producer cum Production Assistant cum Cast Member cum Husband-to-the-Director of Mausams. And when he is not immersed in such creative activities, he pretends to be a consultant.
So here we go. Presenting to you, "Mausams Wausams". (The poem is in Hindi, so apologies to those who don't understand the language!)
Mausams Wausams
Alag alag rah se aaye the sab
Ki milkar banaenge picture hum
Mahine nikal gaye pata nahin kab
Bante bante ban gayee Mausam(s)
Bechte Shampoo, Cream ya Consulting
Weekend par sab milkar karte shooting
Na tha camera Na thi lighting
Budget tha zero lekin awesome thi setting
Kaju Badam jitne bhi dabaye
Dialogue lekin phir bhi yaad na ho paye
Sab retake par retake lete jayein
Director ka phir bhi mann na behlayein
Ek samay ki baat thi
Aaana tha subah lekin hone lagi raat thi
Sab actors ke bahane itne sahi
Ki ghadi ne bhi mano maan li haar thi
Na kahin se mota Na kahin se takla
Galti se bhi camera par na aa jayein
Salman Priyanka aur Katrina
Sab inke aage sar jhukayein
Duniya ke kai saare chhor
Chennai, Abu Dhabi, Mumbai aur Singapore
Har jagah se milkar lagaein zor
Mausams ke cast & crew ab machaye tod phod
Maza zyada aur kaam kum
Bakwaas zyada aur dialogue kum
Jab jab dekhenge ab picture hum
Yaad aayenge yeh Mausam
Na kahin se mota Na kahin se takla
ReplyDeleteGalti se bhi camera par na aa jayein
Salman Priyanka aur Katrina
Sab inke aage sar jhukayein
Wah Shivanu! Excellent!
ONLY COMMENT THAT COMES TO MIND AFTER READING THE POEM IS ...WAH..KYA BAAT HAI...!!
ReplyDelete